Recently

YouTube new policy of 2019

Asslamu Alaikum Friends !
Kese hain ap sb log ?
Umeed hai ap bi meri tra bilkul theek hoon gay 

Friends aaj ham baat krein gay YouTube new Policy of 2019 ki.

YouTube keya hai ?
YouTube Google ka ek product hai aur ek video web site hai lekin ab world ka 2nd largest search engine bhi bn chuka hai.
YouTube pehlay to sabhi channels ko create hotay hi apply krnay kay baad Approval day deta tha. Lekin us kay baad YouTube ko Advertisers se Complains ana start ho gayin ke hamaray ads faltu ki videos pr show ho rahay hain.

10,000 Views wali policy
Complains anay kay bad YouTube ne 10,000 Views wali policy ka ilaan kiya jis kay bad sirf usi channel ko monetization milay gi jis ki videos pr 10,000 views hoon gay.

4k hours watch time & 1k subscribes wali policy
10,000 views wali policy bohat hi easy se Publisher (yani ham log - YouTubers) complete kr letay thay. Khud hi ek dusray ki videos watch kr kay ye task complete ho jata tha.
Ab YouTube ne socha ke ye to ek jaga se views aa rahay hain. Ab 1k subscribes wali policy launch krtay hain.
Lekin is se ye msla tha ke koi khud hi Gmails bna bna kr na apnay channels pr subscribe kr raha ho to YouTube ne sath mein 4k hours watch time wali policy bhi launch kr di.
Ab is task ko easily complete nahi kiya ja skta.
Ab sirf wohi bnda is ko complete kr skta hai jis ki videos achi quality ki hoon.
Bs YouTube ko acha content denay wala hi chahiye tha.
is tra YouTube ki sr dardi zra km ho gayi.

2019 new YouTube policy
4k hours watch time aur 1k subscribe puray krna jb new YouTubers kay liye difficult howa to inhoon ne ek jugar lga liya.
Wo Jugar tha TikTok (music.ly) aur WhatsApp status ki videos utha kr YouTube pr upload krna start kr diya.
Kuch logoon ne to is tra se apnay channels ko monetize bhi krwa liya aur pesay bhi khoob kamaye .
Lekin phir wohi msla bn geya ke hr dusra bnda ek hi video ko bar bar edit kr kay upload kr raha tha.
Phir YouTube ne New 2019 policy launch kr di ke ab TikTok (Music.ly) aur WhatsApp status ki videos ko monetize nahi kiya jaye ga. Aur sath sath TV channels aur news ki videos pr bhi copyright strike lga kray gi.
Easa krnay se ab YouTube kafi better ho geya hai.


Keywords & Tags
YouTube new policy in 2019
YouTube new policy of 2019
YouTube new monetization policy in 2019
YouTube monetization policy



No comments: