beginners jb WordPress kay baray main suntay hain to un ko nahi pta chlta ke WordPress keya hai. Kuch log jantay hain ke WordPress keya hai lekin wo WordPress ko use krna nahi jantay.
is article main ham janein gay ke WordPress keya hai aur us ko kesay use krein. Aur WordPress se kesay pesay kmaye ja sktay hain.
What is WordPress in Urdu Hindi | WordPress keya hai?
Asan lafzoon main ye hai ke WordPress ek easa platform hai jis pr ham apni website launch kr sktay hain.
Type of WordPress in Urdu Hindi | WordPress ki qismein
WordPress 2 tra ki hai.
- WordPress.com
- WordPress.org
What is WordPress.com in Urdu Hindi| WordPress.com keya hai?
WordPress.com ek free ka platform hai. Jis main ap ko WordPress hosting, sub-domain aur kuch themes free main mil jati hain. Lekin is kay ilawa baqi har cheez alg alg buy krna parti hai.
is mein ham custom HTML add nahi kr sktay. is ko monetize nahi kr sktay. Simple bolein to ye ek free ki website hi provide krta hai aur agr ham is ko customize krna chahtay hain to ham ko hr cheez alg alg buy krna ho gi jesay Hosting, domain, themes aur plugins etc.
What is WordPress.org in Urdu Hindi | WordPress.org keya hai?
WordPress.org WordPress ka ek paid version hai. WordPress.org ko ek bar buy kr lenay kay bad ham ko is main Sb kuch mil jata hai like local Hosting, server hosting, plugins, themes custom HTML, custom monetization aur customization. Kuch esay web host platforms hain jo WordPress.org free main provide krtay hain lekin ap is free WordPress.org ko learning perpose se use krein na ke Earning perpose kay liye.
Learn WordPress Dashboard in Urdu Hindi
WordPress main Dashboard ko overview mana jata hai jis ko ham back end bi boltay hain. Dashboard main ham customization kr sktay hain kisi bi cheez ki like Pages, posts, themes, plugins aur others settings etc.
Learn WordPress Pages and Posts
Pages ap ki website ka maqsad beyan krnay kay liye hotay hain jb kay Posts ap ki website ka content hota hai. Ap article likh kr website pr post kr kay traffic generat kr sktay hain.
Learn WordPress Appearance
Appearance main Themes, Widgets, Menu, Header, Background aur AMP settings kr sktay hain.
Learn WordPress Plugins
Plugin option ko use kr kay aap koi bi plugin install, uninstall, active aur installed plugins ki setting kr sktay hain.
- Koi bi plugin install krnay kay liye "plugin" pr click krein.
- Add new pr click krein.
- Search box main plugin name search krein.
- Install pr click krein.
- Active pr click kr kay plugin active kr lein .
- Ab all plugins view main ja kr installed plugin ki setting kr lein.
Learn WordPress "Users" in dashboard
User option ko use kr kay ap kisi aur ko as a Administrator Administrator, Editor, Author, Contributor and Follower add kr sktay hain.
How to add new Administrator?
- Users pr click krein.
- Add new pr click krein
- Ek page open ho ga. us main sb se top pr box main email likhein.
- Nichay Role select krein ke ap kisi ko kitni access dena chahtay ho.
- Nichay password box main new password sett krein.
- Ab submit button pr click kr dein.
Learn WordPress Tools in WordPress dashboard
"Tools" option ka use kr kay aap Marketing kr sktay hain, Apni website ko monetize kr sktay hain. Apni website kay all data ko import kr sktay hain aur kisi other site se import data ko apni website pr export kr sktay hain.
Learn WordPress setting in WordPress dashboard
Setting option ka use kr kay ap General setting, Performance, Writing, Discussion, Reading, Media and Hosting Configuration sett kr sktay hain.
Learn General setting
General setting main ap Site title, site tag line, site icon aur custom domain name add kr aur change kr sktay hain. Ya apni website ko permanently delete kr sktay hain.
Learn WordPress performance
Performance setting main ap apni website ki loading speed improve kr sktay hain.
How to get good performance
- Choose good Web Host
- Optimize WordPress Database
- Choose a Solid Framework or Theme
- Install a Cache Plugin
- User Server Side Caching
- Use a CDN (Content Delivery Network)
- Optimize Image Automatically
- Disable Hotlinking
- Optimize Homepage to Load Quickly
- Enable gZIP Compression
- Minify WordPress Website
- Make Responsive Website Design
- Install Only Useful Plugins
- Enable Leverage Browser Cache
- Use Own Social Icons Buttons
- Adjust or Disable Gravatar Images
- Disable Pingbacks and Trackbacks
- Reduce External HTTP Requests
- Add Lazy Load to Your Images
- Delete o Control Post Revision
Benefits of WordPress
- WordPress main bina coding kiye sirf drop and dragon se hi ham bohat easily website bna sktay hain.
- WordPress ko blogger.com se acha platform mana jata hai.
- WordPress main SEO plugins mil jatay hain jis ki waja se SEO krna easy ho jata hai.
- WordPress pr bnai gayi website bohat jald Google main index ho jati hai aur rank bi easily ho jati hai.
3 comments:
Wonderful Info In This Blog Thanks FOr Sharing This
Digital Marketing Agency In Faridabad
Very Informative Article Thanks For Sharing SarkariRikti
Thanks all
Post a Comment