Asslamu Alaikum Friends ... !
Kese hain aap sb log? Umeed hai aap bi Allah kay Fazl o Karm se theek hoon gay.
Aaj ki is post ka topic hai " How to get a free WordPress hosting for AdSense ?"
Hm free mein apany AdSense kay liye WordPress pr blog kese bna sktay hain.
Agr aap ko nahi pta to mein aap ko btaye chlta hoon ki example.WordPress.com ko google ads allow nahi krta. Balkay www.example.com ko Google ads allow krta hai.
Lekin aap jantay hain ki example.com site bnanay mein pese lgtay hain. Hosting ka alg se kharcha hota hai aur domain ka alg se.
Aaj is post mein ,mein aap ko yahi btanay wala hoon ki aap free mein WordPress blog kese bna sktay hain apnay AdSense kay liye.
How to get a free WordPress hosting for AdSense ?
1: sb se pehlay Google ko open kr lein.
2: ab Google pe move.pk search krein ya aap direct move.pk pr ja sktay hain.
3:Ab aap move.pk ko open kr lein aur "free website hosting" kay nichay walay "sign up now" pr click kr dein.
4: Ab nichay picture ko dekhtay howay tmam steps ko follow krein.
* Domain name select krein.
* Password dalein.
* Email address dalein.
* Security code enter krein.
* Aur last mein Register pr click kr dein.
5: Ab apnay email address mein ja kr move.pk ki email check krein. Agr inbox mein na milay to spam folder mein check krein. Aap ko ek easa confirm link aya ho ga. is link pr click kr kay apna account confirm kr lein.
6: ab jb email confirm ho jaye gi to ap ko move.pk ek cpanel user name day ga. Aap is user name ko copy kr lein.
7: move.pk/cpanel pr click krein aur user name enter krein aur password wohi ho ga jo ap ne sign up krtay waqt dala tha.
8: Cpanel mein login krnay kay bad "Softaculous app intaller" pr click krein.
9: Ab WordPress choose krein.
10: Ab install pr click krein.
11: site address kay nichay "wp" ko khatm kr dein.
12: Ab blog title dalein.
13: Nichay Description likhein.
14: User name aur password dalein.
15: ab intall kay nichay wo email dalein jis pr ap ko saari installation details mil jaye.
16: Ab install button pr click kr dein.
#Note: Jb tk installations complete na ho jaye other tab na kholein.
Congratulations ab aap ki WordPress site install ho chuki hai. Ab aap is pr posts krein aur AdSense kay ads lgayein.
#Note: is site pr superads theme use krein ya koi lite theme jese newspaper etc.
Umeed krta hoon ki ye post ap ko achi lgi ho gi. Agr achi lagi to is ko Facebook aur dusray social networks pr share krein taaki aur friends ka bi faida ho.
Aur agr kisi cheez ki samjh na aye to comment kr kay pooch sktay hain. Jazak Allah
1 comment:
Here is the super extra 20x fast server annoucement due to Covid-19 siteground special offer start for hosting only 0.99 per month don't waste time get this beneficiary offer and start business today.
Post a Comment