Recently

How to earn money with a free blog - How to earn money without AdSense

Asslamu Alaikum friends !
Aaj ham is article main sikhein gay ke kese ham free main ek blog bna kr us se earning kr sktay hain.
How to earn money with free WordPress blog

How to make a blog on WordPress

Sb se pehlay is baat ko yaad rakhein ke WordPress pr jo free blog bnta hai us ko ham AdSense se monetize nahi kr sktay aur na hi custom HTML use kr sktay hain.
is liye agr aap ka irada future main us pr AdSense ads ya koi custom HTML adds krna chahtay hain to WordPress kay bajaye Blogger.com pr blog bnayein.

How to make a free blog on WordPress


  1. Sb se pehlay yahaan click kr kay WordPress.com pr jayein. 
  2. Ab Sign up krein. Gmail account through sign up krein to acha hai. 
  3. Phir apna ek blog create krein. 
  4. Blog ka acha sa name rakhein apnay topic se related ke aap kis topic pr article likhna chahtay hain .ye na ho ke aap ne fashion se related blog bnana hai aur name cricket wala ho. 

How to write an article ?
New bloggers ko nahi pta hota k kese article likhna hai. jb aap ka blog bn jaye to ap k samnay  admin page open ho ga. us main post ka option ho ga us main ja kr ap ne article likhna hai. Otherwise aap YouTube pr search kr sktay hain "How to post on WordPress"?

How to earn with free WordPress blog 

Jb ap kay article ko read krnay kay liye visitors ayein gay to aap un se earn krein gay. Wo kese? Aap ne article pura dheyan se parhna hai.

How to add ads on free WordPress blog

Aap ne jb bi koi article likhna hai ap ne us main 2 ya 3 ya is se zeda bi jitna ap ki marzi ho words main link lgana hai.
Ye link ap ki earning generate kray ga.

How to add ad link in any word 

Aap Yahaan click krein. 
Jb ne Click button pr click kiya to keya howa ? Aap kisi aur jaga redirect ho gaye aur ek 5 second ka ad chla.
Bilkul isi tra aap ne  words main ad link lganaay hain.

Link lganay kay liye word ko select krein aur post border pr link pr click kein. Aur ad link paste kr dein.

Ye to ho geya link add krnay ka tariqa.ab ye ad link milay ga kahaan se ? Ye milay ga Short,st se.

How to make a Link Shortner account.

Short.st ko link shortner website bi boltay hain.
Aap Yahaan pr click kr Short.st ka account bna sktay hain.
Account aap Gmail ka hi use kr kay bnayein.

Ab aap ek article likhein for example.

How to make a cake ? 

Fisrt step: click here for choosing cake flavor
Second step: buy these products etc.

Ab ap ne jb likha kay "click here for choosing cake flavor" to "Click here" main flavor post ka link short.st se short kr kay lga dein.  Done

Bs itna sa kaam hai aur aap ki earning start.
Ab msla ye hai k ye earning aap hasil kese krein gay to wo masla bi solve kiye deta hoon.

How to receive money from Short.st 

Ye earning aap ap apnay Payoneer account main receive kr sktay hain.
Payoneer ka account bnanay kay liye yahaan click krein.




Payoneer se phir aap agr Pakistan se hain to JazzCash main earning receive kr sktay hain aur agr ap India se hain to phir ap Paytm ya bank account main receive kr sktay hain.

Paytm ka theek se pta nahi Kiyoon ke main Pakistan se hoon. Pakistan main to Paytm jesi service JazzCash hai us main receive kr sktay hain. Agr aap India se hain to please comment kr kay btayein kay keya Payoneer se paytm main pesay receive kr sktay hain ya nahi.

Last words
Umeed hai aap ko ye post achi lagi ho gi.
Agr achi lagi to is ko apnay social media friends kay sath bi share krein taa ki un ka bi faida ho. Aur comment kr kay zrur btayein ke koi msla to nahi aap ko ye sara kaam krnay main ?
Mujhay aap k comment ka wait rahay ga. Thanks