Recently

5 Best video editor software for Android

Hi friends ! 

is article main ham sikhein gay ke kon sa video editor software hamaray Android phone kay liye best hai. 

Wesay to bohat saray softwares hain jin se ham video editing kr sktay hain lekin main is article main sirf 5 Best video editor softwares kay baray main btaoun ga.


1.  Filmora Go

FilmoraGoapp ek easi app hai jis ko zeda pasand ki janay wali applications main shumar kiya jata hai. 

FilmoraGo main ham beautiful effects lga sktay hain, voice recording kr sktay hain, text add kr sktay hain, slow motion kr sktay hain aur sb se achi baat is ka inter face samjh main anay wala hai. 

2. Adobe Premiere

Adobe premiere main bi ham FilmoraGo ki tra hi video editing kr sktay hain lekin ye app FilmoraGo se zra difficult hai. is ko professional video editors use krtay hain. 

3. Video Show 

Video show new video editors kay liye hai. Kiyoon ke ye sb se esay hai is main sirf aap apni photos ya video pr ek hi effect use kr sktay hain. Video Show ka slide function bohat famous hai.

4. Power Director

Power Director YouTubers ka pasandeeda video editor hai. is main aap hr tra ki video edit kr sktay hai. aur ye professional aur easy hai. 

5. Kine Master

Kine Master mera favorite video editor hai. Kiyoon ke is ko All in One video editor bi kaha jata hai. 
Agr aap ne Kine Master seekh liya to aap ko kiso aur video editor ki zrurat nahi rahay gi. is ka easy interface aur Animations is ki khubsurati ki waja hain. 

No comments: