Recently

5 Free Ways To Earn Money From Internet Without Any Investment

Hi friends ! 
is article main ham sikhein gay ke kese ham Gar bethay without investment online earning kr sktay hain. 
Wesay to online earning kay 100 se zaida tariqay hain lein ham yahaan sirf basic 5 tariqoon ka zikr krein gay .


1:  Freelancing

Freelancing aaj kl ki youth ko bohat hi pasand hai. BayRozGari kay is dor main agr koi successful freelancer bn jaye to ye kisi Nemat se km nahi. 

What is Freelancing

Freelancing kehtay hain hain easay kam ko jis main kam krnay wala kisi long term conditions ko follow nahi krta balkay wo self employe hota hai yani wo khud hi apna boss hai apni marzi se kam krta hai. 

How to start Freelancing

First of all Freelancing start krnay kay liye ap kay pas kisi skill ka hona zruri hai. 
Second ap ko kisi Freelancing site pr account bnana ho ga jesay Fiverr.com , Upwork.com , freelancer.com aur Toptal.com etc. 

Best Skills for sell as a freelancer

Sb se pehlay fiverr.com pr account bnayein. Aur Freelancing start kr dein. Fiverr pr aap bohat sari skills sell kr sktay hain for example,
  • Article writing
  • Translation
  • Graphic designing
  • Video editing
  • Voice overing 
  • Web designing or development
  • SEO
  • Digital marketing
  • And Business ideas etc. 


2: Blogging

Blogging kehtay hain likh kr apnay kheyalat ka izhar krnay ko. 

Aap jb website bna kr us pr article likhtay hain to internet ki duniya main is ko blogging krna kehtay hain. Jis website pr ap likhtay hain wo blog hai aur ap blogger. 

Blog website bna kr aap online earning kr sktay hain. 

Blog se earning krnay kay different ways hain. Jin main se sb se zaida profitable monetization hai.  AdSense Google ki company hai jo sb se zeda profit deti hai. is kay ilawa bi bohat sari companies hain jo ap ki website ko monetize krti hain jesay ke media.net , exoclick.com , adblade.com , adnow.com , adcash.com aur propellerads.com etc. 

Blog bnanay kay liye aap ko blogger.com ya WordPress.com ki jankari hona zruri hai. 

3: YouTube

Agr aap video bnana jantay hain to aap YouTube se bohat sara paisa earn kr sktay hain. 
YouTube bi Google ki hi company hai jo ke AdSense ko use kr kay videos ko monetize krti hai. 
Aap YouTube pr ek channel bna kr us pr videos upload krein. Jb ap kay channel pr 1000 subscriber aur 4000 hour watch time complete ho jaye to ap monetization kay liye apply kr dein. 

4: Affiliate marketing

Jb aap kisi company ki product  ko online sell krtay hain to usay Affiliate marketing kehtay hain. 
Bohat companies hain jo ke aap ko ye offer krti hain kay aap un ki products ko un kay links se sell krwayein jin main se Amazon.com sb se profitable company hai. is kay bad CJ Affiliate network , Click bank, Flip cart aur Daraz.pk etc. 
Aap in kay affiliate program join kr kay in kay product links ko apni site aur social media pr promote kr kay earn kr sktay hain. 

5: CPA networking

Cost Per Acquisition (CPA), otherwise known as Cost Per Action,
CPA network bi affiliate marketing ki tra hi kaam krta hai. 
Abi tk jitnay bi earning source main ne aap ko btaye hain un main sb se zaida earning denay wala source CPA Network hai. 
is network main profit ki percentage sb se zaida hoti hai. Ek sell pr 1$ se 500$ ya is se bi zeda mil sktay hain. Ye depend krta hai ke aap kitna mehnga product sell kr rahay hain. 
CPA network main sb se zeda paisa denay wali company Maxbounty.com hai. 



No comments: