CV ka full form Curriculum Vitae hai. Curriculum Vitae ka matlb hai course of life ya Education and experience.
Jb bi aap apni CV bnanay lagain to us main 5 chizein likhna na bhulein.
No 1: (Profile) Aap kon hain ?
No 2: Education
No 3: Experience
No 4: Contacts
No 5: Hobbies
Note: Jb aap CV kaheen bi job kay liye send krein to Education aur experience proofs zrur attache krein.
in which software you can make a cv
No 1: Microsoft word
No 2: Adob Photoshop
How to write a cv for job application
CV bnanay kay liye Microsoft word best rahay ga. Main jb bi kisi ki CV bnata hoon to MS word main hi bnata hoon. Aur meri khud ki CV bi MS word main hi bni howi hai.
Agr aap impressive CV banana chahtay hain to nichay diye gaye options ko follow krein.
No 1: MS word ya Photoshop ko open kr lein aur apni pasand ka template bna lein. is baat ka kheyal rakhein ke template multy color na ho. Simple template best rahay ga. Jesa ke nichay ek CV ka simple sa template hai.
Urdu information official |
No 2: Ab aap sb se pehlay Profile likhein. Profile main apna name, date of birth aur jo aap life main hain wo likhein.
No 3: Apni Education kay baray main likhein . Apni all degrees ko alg alg likhein. Jis University ya Education board se degree hasil ki hai wo with year likhein aur sath main subject aur numbers bi likhein.
No 4: Contacts likhein. is main aap ne apna Phone number, Email address, aur home address likhna hai.
No 5: Apna experience likhein.
is main aap ne likhna hai ke ap ne abi tk kon kon se kaam kiye hain.
Note: aap jahaan bi kaam kr rahay hoon jb aap wahaan se leave krnay lagain to wahaan kay owner se ek certificate lay lein. Jis main likha ho ke aap ne wahaan pr itna arsa kaam kiya hai. Agr company registered ho to company kay letter head pr ye certificate likhwa kr company owner kay signature lay lein.
Ye certificate aap ko next company main job kay liye as a experience proof kaam aye ga.
No 6: Apni Hobbies likhein. Aap ko keya krna pasand hai ya aap keya krtay rehtay hain.
Ab aap ki CV complete hai.
CV jitni Simple ho gi utna zeda samjh main aye gi.
Friends ! Umeed hai aap ko ye article acha lga ho ga aur aap ne is article se kuch na kuch zrur learn kiya ho ga. Agr koi sawal zehan main ho to comment kr kay zrur puchein inshaAllah main ap kay sawal ka jawab zrur doon ga.
No comments:
Post a Comment