Recently

AdSense Web Aprovel aur Mera Experience

Asslam o Alaikum Dosto ! Umeed hai keh aap theek hoon gay. Aaj me aap se apna experience share krnay ja raha hoon .is post ko pura prnay kay baad main umeed krta hoon keh aap bhi bari asaani se apni site kay liye google adsense approvel lay sktay hain. 

1.Free Hosting + Sub Domain + Urdu
Mujhay lgta tha keh free hosting pr Bhi google ad deta hai to mein ne WordPress pr apna free blog bna liya jo subdomain kay saath thaa. Me ne 6 month khoob Posts kein . 6 month Baad me ne jb adsense kay liye apply kiya to mujhay pta chla keh google subdomains ko jo WordPress pr hain Ads nahi deta. to me ne search kiya to mujhay pta chla keh Blogger,com jo ke Google ka hi plateform hai us pr agr blog ho to google us ko Ads day deta hai to me ne apna blog Blogger,com pr bna liya . 6 month khoob mehnat kr kay jb  apply kiya to pta chla ke Google Urdu blogs ko Bhi Ads nahi deta ab ki baar to mera dil toot sa geya , Phir me ne Himt haar di.

#Note: Ab Google Adsense"Urdu" blogs ko bi support krta hai. 

2.Hindi Blog 
Phir ek din me ne dekha keh ek Hindi blog pr google ads lgay howay hain to me ne search kiya to mujhay pta chla keh Hindi blogs ko Google support krta hai to me ne ek Hindi Blog Bna liya . Phir me ne Hindi blog pr mehnat ki aur apply kr diya . Ab ki baar bi approvel nahi mila. Lekin is baar Google ne mujhay reply kiya aur apna policy page bhi send kiya . Me ne un ki policies jan'nay kay liye us ko translate kr kay read kiya . Is baar Mujhay pta chla keh me keya keya ghaltian kr raha tha ,

3.Big Mistakes
Blog kam se kam 6 month Old nahi thaa. Is pr 6 month khoob mehnat krni chaiye.
Kam se Kam 15 Posts honi chahiyein blog pr.
Har post kay Kam kam se word 600 honay chahiyein.
Ek photo bhi ho to acha hai mgr ye zaruri nahi.

4.Custom Domain
Me ne kaafi saaray blogs read krnay shiru kr diye .Kaafi saari info haasil ki. Ek Baat hamaray bloggers ne kbi nahi btaya kay Google DOT.TK domains ko bi  Ads deta hai . Sb bloggers ne Yahi likha tha keh DOT.TK ko google ad nahi deta. 
Me Ne Google Adsense Ki policies kay Mutaabiq Blog bnaya aur Costom domain lga diya.Aur wo bi DOT.TK ka.
Me ne suna tha ke Sub Domain kay Bajaye Custom Domain ko Google Jaldi Ads day deta hai is liye me TK ka domain lga diya. 
Lekin mujhay Pta tha keh dot.TK Damon ko Google Ads nahi deta. 
Me ne phir Bhi lga diya .Ek din Me ne Mazaaq Me hi AdSense Kay Liye Apply kr Diya aur bhool geya . Lekin Yaad Rakho dosto google nahi bhoolta Aur pooray 4 din baad Subhaa Subhaa google ka Email aya " Congratulation , Your AdSense Account is Fullay Approved"
Meri Khushi Ki intha na rahi. Mujhay us din pta chla keh kuch bloggers hamein Ullu bnatay hain keh un ki dukaan band na ho. 



Google AdSense







5.Struggle Kay Days
Facebook pr kaafi groups me ye post dekhta thaa kay itnay rupees do aur apnay name pr Google AdSense Account lo. UK , USA aur pta nahi kin kin countries ka .
Ek dil kray kay kharid loon mgr me ne soocha keh me Ads kahaan lgaoun ga meri site to google ki policy kay mutaabiq nahi hai. Is traa agr me apni Naaqs site pr Ads lagaoun ga to google mere Adsense Account kay Saath meri site bhi block kr day ga phir kharidnay ka keya faida.
Aur agr meri site google ki policy kay mutabiq hai to google khud hi approvel day ga.
Aap ko bhi memashwara doon ga keh aap bhi kbi bhi adSense account Buy na kren bulkay neechay walay steps ko follow kren. In ko follow krnay Kay baad aap ko 100% google Ads day gaa. 

Follow Only Seven Steps
1. Blogger,ocm pr apna blog bnayein
2. DOT.Com  ka custom domain lagaein. Blogspot.com bi chlay ga.
Note: Google ki policy change ho gayi hai ab Google free (dot.tk) domain ko AdSense approval nahi detaa.
3. 6 month me kam se kam 15 se 20 post kr dein is se zeda bhi kr sktay hain bulkay krni chahyein.Har post kay kam se kam 600 word honay chahiyein.
4. Achi theme lgaein.
5. About us, Contact us, Privacy Policy, aur copyright ka page bnayen.
7. Bs Apply kr dein.


No comments: