Asslam o Alaikum Friends ! Kese hain aap log ? Umeed hai aap sb log theek hoon gay.
Is post me Me aap ko btaoun ga ki Me online field kese aya.
HMH (Hindi Me Help)
Hindimehelp.com ek easi website hai jo mere online field me aanay ki sb se bari waja hai. pehaly kuch easa hota tha ke mere facebook friends me se koi kisi page ko like kiye hota tha aur us page ki post ko jb mera dost share krta thaa to wo post mere paas bhi aa jati thi us post me kuch youn likha hota tha "How to earn money in hindi" to mujhay lga shayed ye koi fraud hai me click nahi krta tah phir ek din Me ne kisi se suna ki log online earning bhi krtay hain to Me ne phir khud Google pr jaa kr search kiya " How to earn money in Hindi" to ek blog open howa jis pr likha tha ki online earning kese ki jaati hai .
1.Blogging
2.Affiliate Marketing
3.Freelance etc.
to ab Me ne seach kiya "Blog kese bnaye , yaa I think , Free website kese bnaye" Mujhay achi tra yaad nahi .
Blog Me ne is liye search kiya kiun ki mujhay Affiliate aur Freelace k baaray me us waqt kuch ilm nahi tha .
Ab jo Me ne search kiya to Hindimehelp.com website open ho gayi .
Is website pr Me ne kaafi saari posts read keen. Phir Me is website ko follow by Email kr liya .Ab jo bhi post Bhai Rohit (Bhai Rohit HMH kay Admin hai) Krtay mujhay email kay zariye mil jaati aur Me us ko read kr leta. Ab mujhay shoq howa ke Me bhi ek Apna blog bnaou.
Urdu Blog + Subdomain
Me ne wordpress pr apna ek free ka Urdu blog bna liya.Us pr Me ne kaafi Saari Posts kr kay Google AdSense kay liye apply krnay ki koshish ki to pta chla kay subdomain honay ko waja se mera AdSense account nahi bn skta ,
Phir Me HMH pr searching ki to pata chla ki Mujhay custom doamin chahiye ,Lekin mere paas pese nahi thay ki Me domain buy kr sakoon. Phir Mujhay HMH se hi pta chla ki Blogger,com pr custom domain ki zrurat nahi hoti .
Blogger + Urdu
Ab Me ne Blogger,com pr apna blog bna liya.is blog pr bi Me ne Kaafi Mehnat ki aur AdSense kay liye apply kr diya. Ab bi mera AdSense account nahi bn ska . Kiun ki ab Google ka msg aya ki ham Urdu ko support nahi krtay.Is baar to Mera dil toot sa geya.
Phir Me HMH pr geya aur Mujhay pta chla ki kin Languages ko Google support krta hai.
Mujhay English to Aati nahi thi To Me ne Hindi me Ye blog bna liya . Ab is pr Me ne kuch posts daal kr aur Google ki policies ko read kr kay jo jo cheezein zruri theen un ko add kr kay AdSense kay liye apply kr diya. 4 din baad subha subha mujay Email mili kay aap ka account fully approved ho geya hai.
Meri khushi ki intihaa na rahi aur Dil hi dil me Me Rohit Bhai Kay liye Dua Bhi kr raha tha Kay aaj un ki waja se Me onlline field me Kamyaab ho geya hoon .
Akhir pay Me aap logoon se appeal krta hoon ki aap sb log bhi HMH (Hindimehelp.com) ka visit zrur kren taa ki aap log achay se guide hoon .
to Friends Umeed hai aap ko meri ye post pasand i ho gi. Pleaee comment kr kay zrur bataya kren, aur koi swal ho to wo bhi zrur poocha kren .
Note: Google ki new Language policy jo ki May 2017 me jaari howi hai us kay mutaabiq ab google Urdu blogs ko bi ads day ga, Yani Google ne Urdu ko Bi Meyaari language qraar day diya hai .

No comments:
Post a Comment