Recently

How to make a website with free "tk" domain

Friends is post mein ham seekhein gay kay blogger.com kay blog ko dot.tk kay domain kay saath kese set krein.

Is kay liye hamein 3 cheezoon ki zaroorat hai.
  1. Gmail ID
  2. Computer Yaa achaa sa mobile
  3. Internet connection

Faida:Friends agr ham apnay blog ko "tk" domain kay sath set kr detay hain to hamein is kay 2 faiday hain.
  • hamara blog ek professional website main change ho jaye ga.
  • hamein domain name bilkul free main mil jaye ga.

Friends to chaltay hain aaj kay topic ki traf.
1:Sb se pehlay gmail ID log in kr lein.

2:Ab freenom.com pr jayen.

3:Apni pasand ka domain name search krein.

4:Kaafi saaray domain name aa jayein gay but ham ne "tk" domain lena hai to ham "tk" domain kay samnay Got it now pr click krein gay.

5:Click on checkout krein gay to ek form open ho ga is main bs apna data likh kr neechay complete pr click kr dein .
Name: Abdul Qudoos
Email:a.q*****51@gmail.com
Address: Gujranwala Wazirabad mintranwali khoser
Phone No: +923084534543
Click on complete

6:Ab hamen sign up krna hai to ham g+google pr click krein gay Kiyoon kay ye achaa hai aur hamara blog bhi to gmail pr hai.

7:Sign up honay kay bad service par click krein gay to list nikl aye gi us list main "my domain" pr click krna hai .
8:ab hamein jo domain name set krna hai us kay samnay "manage domain" pr click krna hai.

9:ab manage DNS pr click krein gay to ek form open ho ga us ko fill krna hai.
Add more pr click kr kay 6 khanay bnaa lein.

10:Ab baaqi sb bhool jayen blogger.com pr jaa kr apnay blog ki setting main jayein.

11:+set up third party URL pr click krein ek box open ho ga us main apna domain name set krein.

12:www.YourDomain.tk
&
Save

13:ab jo deta open ho ga us ko freenom.com walay box main set krna hai. Is data ko kese set krna hai neechay screen short main aap dekh sktay hain.

14:data set kr kay save pr click krein aur phir blog pr jaa kr domain save krein gay to hamara blog custom domain kay sath professional website main change ho jaye ga.
Agr save krtay howay agay option na aye to 3 baar save pr click kr kay cancel pr click kr dein.

15:screen shot main jo aap ko ginti nazr aa rahi hai.wo IP address hai. usay bhi set krna hai.


  • 216.239.32.21
  • 216.239.34.21
  • 216.239.36.21
  • 216.239.38.21

17: Aur jo box khaali hain un ko khaali rehnay dijiye.
Friends agr aap se ye nahi ho raha to preshan na hoon mujhay comment kr kay batayen main aap ko mukammal website bna kr doon ga wo bhi bilkul free.
Duaoun main yaad rakhiye gaa.

No comments: