Recently

Hindi Blogging History and Community

Asslamu Alaikum Friends !
Aaj ki is post mein , main ap ko Hindi (Roomn Urdu) Blogging kay baray mein btanay wala hoon.
Wese to ye official Hindi nahi hai lekin Google is ko Hindi hi maanta hai.
India mein is ko Hinglish  aur Pakistan mein is ko Roomn Urdu kaha jata hai.  
Lekin jo bloggers hain wo Google ko zeda follow krtay hain to wo is ko aksr Hindi hi kehtay hain. Jesa ki mein ne pehlay kaha ki Google is ko Hindi hi Manta hai.

Hindi blogging kb start howi ?
Ye kuch 2010 ka Zamana tha jb ek Indian boy Rohit Mewada ne jo ki Engineering ka student tha ne ek blog bnaya Lovguru. Jis ka proof ap nichay screen shot mein dekh sktay hain jo ki un ki site HMH se liya geya hai.
Urdu information
In ki ek Hindi site jo sb se Zeda Popular howi wo Hindimehelp.com hai.
Hindi me Help ko short mein HMH bi kaha jata hai aur is ka short address hmh.pe bi hai.
HMH.pe start mein blogspot pr thi jo ki baad mein WP (WordPress) pr shift ho gayi.
Google is language ko us time samjh nahi paya tha is liye  Google ne HMH ko delete bi kiya tha but Rohit Sir ne complain ki jis kay bad Google ne is ko fir se open kr diya aur is language ko Hindi me Add kr liya. Ab Google Hinglish ya Roomn Urdu ko Hindi hi manta hai.


Hindi Bloggers ki mistakes ?

1: Starting mein earning na honay ki wja se jald hi blogging chor dena.

2: SEO ( Search Engine Optimization) bohat km seekhna.

3: Regular kaam na krna.

4: New bloggers help lenay kay liye legend bloggers kay inbox mein chlay jatay hain, new bloggers ko chahiye ki wo sb se pehlay Google pr seach krein agr jawab na milay to Jo Facebook pr hindi bloggers kay groups hain un mein post kr kay help mnag lein.is kay bohat saray faiday hain jese ap ne koi sawal post kiya to us ka jawab hr wo bnda day ga jo us ka jawab janta ho ga. Aur baqi log jin ko nahi pta ho ga un kay knowledge mein bi izafa ho ga.
Baday bloggers kay inbox mein usi time jayein jb wo khud bolein. Bilawja un ko tang mt krein.

5: sb se important mistake ye hai ki ab same topic pr hi Hindi blog bn rahay hain aur wo hai Tech ya blogging.
Ab kuch different topics pr bi Hindi blogs anay chahiyein jesay Entrainment, Health, Sport news, fashion, food, tourism aur business.


Hindi blogs ki traffic kitni hoti hai ?

Hindi bloggers ko hr samay traffic ka tension raha hai Because ye official language nahi hai is liye log is mein bohat km search krtay hain. Lekin ab Hindi bloggers ne bi himt ki hai aur is ko popular kiya hai ab slowly slowly log is mein bi search krna start kr rahay hain jis kay bad SEO krna bi kafi asan hota nzr a raha hai.
Hindi blogs pr traffic ki kmi ki wja se aksr hindi Bloggers jald hi haar maan jatay hain aur blogging chor detay hain.
Hindi bloggers ko chahiye ki wo SEO ko achay se seekhein jis kah bad un ko achi traffic milay gi aur un ka blogging career khatm nahi ho ga.


Hindi bloggers ki earning kitni hoti hai?

Hindi bloggers ki earning English bloggers se km hai lekin ab hindi read krnay walay aur Hindi me search krnay walay zeda ho rahay hain jis kay bad Hindi blogs ko traffic milay gi aur bloggers ki earning achi ho gi.
Earning km honay ki waja se bi Hindi bloggers blogging chor detay hain.


Hindi bloggers kitnay hain?

Hindi bloggers ki Tadaad abi km hai jo ki ahista ahista zeda ho rahi hai.
Ap yahaan pr click kr kay Hindi blogs aur bloggers ki tadaad dekh sktay hain.


Hindi bloggers ka future kesa ho ga?

Jesa ki mein ne pehlay likha hai ki Hindi bloggers slowly slowly zeda ho rahay hain is ka mtlb hai Hindi blogging ka future acha ho ga is liye Hindi bloggers ko tension lenay ki zrurat nahi.
Lekin agr Hindi blogs ko Ads milna band ho gaye to ye Bohat bada Jhatka ho ga.
Lekin mujhay lgta hai ki easa kbi nahi ho ga. Jb Google jesa itna bada idara Hindi ko ads day raha hai to other companies bi is ko ads dain gi. 


Hindi bloggers ko mera mashwra

Mein Hindi bloggers ko ye mashwra doon ga ki wo Legend bloggers ko read krtay raha krein taa ki un ki help hoti rahay.
Aur ek dusray ko support krtay raha krein is ki wja se hi Hindi bloggers ka future acha ho ga.
Aur

Sb se important baat Hindi bloggers aksr SEO nahi seekhtay in ko SEO seekhni chahiye wrna Blogging ka koi faida nahi.
SEO krnay se hmaray blog pr traffic ata hai. Agr traffic nahi ho ga to hm apni pehchan khatm kr bethein gay.
Urdu information

3 comments:

Hindi Blog said...

अगर किसी व्यक्ति का पीपीएफ अकाउंट निष्क्रीय है तो वह नया पीपीएफ अकाउंट नहीं खोल सकता है. इसके लिए उन्हें पुराने अकाउंट को बंद करना होगा. पीपीएफ अकाउंट में ब्याज को हर साल के अंत में खाते में क्रेडिट कर दिया जाता है. मौजूदा समय में पीपीएफ अकाउंट पर ब्याज दर 7.9 फीसदी की दर से तय है. यह ब्याज हर माह की 5 तरीख से पहले जो सबसे न्यूनतम रकम जमा होगी, उसी के आधार पर तय होगी. ब्याज को साल के अंत में ही क्रेडिट किया जाएगा.

riyaa said...

Nice information... Good job keep it up... Thanks for sharing. Biography



Owner said...

Thanks 😊