Recently

how to upload a theme on blogger ?

Asslamu Alaikum Friends !
Aaj ki is post mein , hm seekhein gay ki kese apnay blogger blog pr theme upload krein.

Custom theme kay faiday ?
1: hm theme upload krein gay to hm zra professional blogger lgain gay.

2: apni pasand ki theme upload kr kay usay apni marzi se customize kr sktay hain.

3: hm zeda widgets wali theme upload kr kay zeda HTML codes use kr sktay hain.

#is kay ilawa bi custom theme kay bohat saray faiday hain lekin yahaan un ko beyaan krna maqsood nahi balkay yahaan theme ko upload krna seekhna maqsood hai.

How to upload a theme on blogger ?
1: sb se pehlay aap yahaan click krein aur apni pasand ki theme download krein.

2: aap jb kisi theme ko download krtay hain to wo ek poori file download ho jati hai.ab us mein se hm ne XML file ko alg krna hai. Ap SD Card mein jaa kr xml file ko move kr kay alg kr lein.

3:Ab blogger blog mein aa kr "Theme" pr click krein.
How to upload a theme on blogger ?
Pic © urduinformation.com


4: Ab Backup/ restore pr click krein.
How to upload a theme on blogger
Pic © urduinformation.com

5: ab choose file pr click kr kay theme ki xml file ko select krein aur upload pr clcik kr dein. 
Ab aap ki theme successfully upload ho gayi hai.

#Note: theme file se xml file ko alg krna easy nahi hai is kay liye aap kisi aur software ka use kr sktay hain. Wese mein ES file explore ka use krta hoon. Aap isay play store se download kr sktay hain. 
Umeed hai aap ko ye post achi lgi ho gi. Please is ko share bi krein aur mere FB page ko like bi krein. 
Aur kisi qism ki help ki zrurat ho to aap please comment kr kay pooch sktay hain. Thanks




No comments: