Recently

Grow your business by Business WhatsApp in Urdu Hindi

We are learn here "How to grow the business by Business WhatsApp" ?

What is Business WhatsApp?

Business WhatsApp is an application which designed by Meta (mother Co) Company.



Business WhatsApp, WhatsApp ka hi ek product hai jis ko special Business manage krnay liye bnaya geya hai. 


How to Grow a business by Business WhatsApp in Urdu Hindi ?

Business WhatsApp mein ham apni products aur un ki prices ko list kr sktay hain jin ko customer dekh skta hai aur apni pasand ki product order kr skta hai. 

Business WhatsApp mein auto reply kay massage ki bi sahulat mojood hai. 

Jb customer msg kray aur usay foree reply mil jaye to wo satisfied ho jata hai. 

Business WhatsApp mein ap apnay office/Shop ki timing bi sett kr sktay hain jis se ap kay customers ko pta ho ga ke kb ap ka office/Shop open rehti hai. 

Don't never do that (Easa kbi bi na kro)

Agr ap ko customer ka msg aye to usay kbi bi ignore na krein. Agr ap ne customer ka msg read kiya hai to usay foree manual reply krein. 

Agr ap kay pas customer ki psand ki huee product available nahi hai to bi reply kr kay bta dein ke "Sorry Sir ! Ye cheez available nahi hai lekin ham arrange krtay hain" 

Aur 

Agr ap koi product sell hi nahi kr rahay to us product ko Kbi bi product list mein add na krein. 


Upload Status 

Apni products ki video ya photos bna kr Status pr lgayein.

Note: Jb bi koi ap se ek baar contact kray us ka number apnay mobile mein save kr lein jis se ap ka lgaya geya Status us ko dikh skay. 

Taking feedback 

Product sell krnay kay bad WhatsApp pr customer se feedback zrur lein is se customer ko lgay ga ke wo important hai. Aur ap ko apni product quality mein improvement lanay mein madad milay gi. 

Positive feedbacks ko Status pr lgayein taake customers mein izafa ho. 

Benefit of Business WhatsApp 

Customer ko ap kay office/Shop pr anay mein time lgay ga lekin agr customer ap se product/pricing kay baaray mein pooch kr aye ga to ap ka aur ap kay customer ka time faltu ki discussion mein zaya nahi ho ga aur deal easily successful ho jaye gi. 

No comments: