Recently

how to write seo friendly content for website in Hindi


Asslam o Alaikum friends ! 
Kese hain aap sb log ?
Umeed hai aap sb bi meri tra Allah Kay Fazal o karm se theek hoon gay.


New bloggers aksr is baat ko lay kr preshan rehtay hain ki un ki koi post Google pr rank nahi hoti aur wo social media pr blog link share kr kay social media se traffic lenay pr majboor ho jatay hain. Zahir si baat hai social media ki traffic AdSense kay liye safe nahi hai.

New bloggers ki is preshani ko door krnay kay liye mein is post mein ye batanay wala hoon ki aap kese apni post ko SEO friendly bnayein ki wo Google kay fist page pr show ho.

#: SEO keya hai ?
Or
#: What is SEO ? 

SEO ka mtlab hai Search Engine Optimization.

#: SEO ki 2 qismein hain.
  • On Page SEO
  • Off Page SEO

Pehlay ham baat kartay hain on page SEO ki.

*1: On Page SEO kisay kehtay hain ?
Jb ham post likhtay waqat SEO kay mutabiq post ko likhtay hain to usay On Page SEO kehtay hain.


#1:Search your post title in google

 Sb se pehlay aap jis bi topic pr likhna chahtay hain us ko Google pr search krein jese ki nichay picture mein aap dekh saktay hain mein is post k topic ko Google pr search kiya to nichay aur result bi show ho rahay hain.
Mein ne  "friendly" tk likha to agay "content" bi a geya khud aur "article" bi.
Aap dekh saktay hain.
Keya aap ko pta hai ki ye "content" oopr Kiyoon hai aur "Article" nichay kiyoon hai? 

Is ka mtlab hai ki log " *** content " zeda search krtay hain aur "*** article" ko km log search krtay hain.




#: Ab mein ne jb apnay search topic mein "content" likha to nichay "for" aur "website" show honay lagay . 
Is ka matlab hai ki log poora topic ye search krtay hain aur ye topic rank kr raha hai.agr ham is topic pr koi bi post likhen aur post title mein kuch aur likhen gay to wo post rank nahi ho gi.


#: Ab mein ne jb "website" ko bi add kiya to website kay aagay kuch bi nahi aya balkay kuch aur titles nichay likhay howay a geyay. Wo bi isi topic se related post title hain jisay log km search krtay hain.

#: Ab msla ye hai ki agr ye title pehlay Google mein rank hai to zahir si baat hai aur logoon ne bi is topic pr likha ho ga un ki post first page pr dikhay gi hamari post kese rank ho ki Google kay first page pr. 
 preshan honay ki koi zarorat nahi. Mein is ka hal bi aap ko btata hoon. Pehlay se rank posts se bi zeda rank krnay kay liye hamein bs post title mein thora sa izaafa krna hai.

Post title mein izafa kese krna hai?
Post kay start mein bi izafa nahi krna aur na hi darmeyaan mein balkay last mein ham ko apnay title mein thora sa izafa krna ho ga ki jb log search krein "how to write seo friendly content for website" to aagay kuch aur bi aa jaye aur log usay click kr kay search krein.

  • Jese aap ne dekhaa poora title hai.
  • "how to write seo friendly content for your website"
  • Ab ham is mein "2020" ka izafa kr detay hain.
  • "how to write seo friendly content for website 2020" 
  • Ab log jb bi "*** website" search krein gay to top pr 2020 bi aa jaye ga. 
  • Is traa hamari post pehlay se rank posts se bi zeda rank ho jaye gi .



#2: Add your other post links 

Aap apni post mein pichli post ka link zarur dalein .
Lekin ye itna zruri nahi balkay is post se related agr koi aur post ap kay blog pr hai to us ka link aap zrur is post mein dalein.is se bi post Google mein rank hoti hai.

#: Agr aap ne koi post is post se related nahi likhi to bi kuch dusri posts kay  links daal dein.taa ki readers ko pta chlay ki writer ne is topic kay ilawa bi dusray topics pr likha hai aur wo un posts ko bi read kray .

#: Km se km aap 3 posts kay link zrur dalein.
Aur zeda se zeda 9. is se zeda na dalein wrna reader confuse ho jaye ga aur bina kuch read kiye chla jaye ga.

#: Sb links ko ek saath na dalein. Balkay ek paragraph kay baad 1 se 3 link daal dein .agr ap ne kaafi lambi post likhi hai to 2 ya 3 paragraph kay baad link dalein.



#3: Blog Description
Blog post likh kr blog ka title aur us se related title jo Google pr rank hain un ko blog kay search description mein daal dein. Taaki log kuch bi search krein to ap ki post un ko dikh jaye.aur kuch khaas baat bi likh dein jisay log dekh kr aap ki site pe aa kr post read krnay pr majboor ho jayen.


#: Jesa ki aap dekh sktay hain. Mein ne search description ko kese likha hai.
Ap chahein to title ko pehlay aur important words ko bad mein bi likh sktay hain.
#: mein  ne Urdu Hindi mein important words likhay hain kiyoon ki meri site kay visitors Pakistan aur India se hain.aur title English mein hai is liye us ko baad mein likha hai.



#4: Use keywords
Ap ki post ka jo title hai usay post kay andr 3 se zeda baar use krein.
Jese meri posts ka title hai 
"how to write seo friendly content for your website"

To mein ne is ko 3 se zeda baar is post mein use kiya hai. Aur yahi mera keyword hai.
Kuch new bloggers ko ye bi nahi pta hota ki keywords kisay kehtay hain.

Keywords usay kehay hain jin words ko log search kr kay aap ki posts tk pohanchtay hain.

To jitna acha use aap apnay keywords ka post mein krein gay utni jalidi aap ki post Google mein rank ho gi.



#5: Heading Paragraphs
Apni post ko paragraphs mein likhein aur har paragraph ko ek heading dein aur usay Highlight krein.

#: Ye Thi On Page SEO 
Ab hm baat krein gay Off Page SEO pr.


#: Off Page SEO keya hai?
Post likhnay kay baad us post ki promotion ko Off Page SEO kehtay hain. Asaan Lafzoon main Marketing ko off page SEO kehtay hain. 




#6: Off page SEO mein sb se pehla number ata hai Social media ka.
#: Aap apni posts ko social media pr share kr kay traffic hasil kr skray hain.mgr ye new AdSense kay liye safe nahi hai . agr ap ka AdSense account 1 year old hai to aap social media se traffic lay sktay hain. is kay liye aap apnay Facebook account ka sahara lay sktay hain ya ap koi Facebook page ya group bna kr apni post ki promotion kr sktay hain.
Is kay baad Twitter, incomeon aur WhatsApp waghera ka sahara bi blay sktay hain.

#7: Paid traffic
Apni post ki promotion kay liye traffic buy bi kr sktay hain mgr kuch esay networks bi hain jin ki traffic safe nahi ye aap Google pr search kr sktay hain ki kin networks ki traffic AdSense kay liye safe hai.

#: AdWords jo ki Google ka hi product hai ya media.net jo Yahoo ka product hai in ki traffic safe hai.

#: Umeed hai ye post aap ko bohat achi lgi ho gi. Agr achi lgi to please isay share krein apnay friends kay saath taa ki un ko bi is se faida ho.

#: Allah kay Fazl se Meri ye post 4 hour mein Google kay first page pr a geyi hai.lekin abi dusray number pr hai.4 hour mein itna result bi kisi kisi ko naseeb hota hai.

No comments: